Thursday, July 14, 2011

The Beautiful Days I Can't Forget in my life....

Heading se hi Aisa lag raha hoga ki kuch aisa likhne jaa raha hu jise main kabhi nahi bhula sakta hu aur shayad ye kuch aisa hi h...    haa friends...   Kitna achcha lagta h jab aap apna bachpan yaad karte h aur bachpan ki wo purani yaadein taaja ho jati hai......wo apno ka pyar aur dular ...koi nahi bhula sakta hu........  main apko batane jaa raha hu meri un yaadon ke baare me jinhe maine dubara jiya.......   meri wo yaadein jo is waqt ki daud me kafi peeche reh gayi thi.... mera bachpan jin galiyon me gujra ... jin rasto par main chala ... jaha khela....... un jagaho ko jab ek baar fir se dekha to aankhon me aanshu aa gaye.... wahi purani yaadein taaja ho gayi.......   wo 7 din kuch aise gujre kuch pata hi nahi chala.....    
              pata h poore 9 saal baad sabse mila... sabse yaani... Meri pyari naniji aur sabhi mausi mausaji aur unke bachcho se...........sabhi kafi kuch the mujhe dekhkar aur main to apni khushi bayan hi nahi kar sakta.....  sabne un 7 dino me itna laad kiya ki jab bichadne ka waqt aaya to kuch samjh hi nahi aa raha tha...... aankhon me wahi paani.....   mann me kuch ajeeb si baichaini aur na jaane kya kya tha jo mere mann me chal raha tha.. mujhe waha se aur unhe mujhse kuch jyada hi lagaav tha kyunki maine apni shuruwati padhai wahi se shuru ki thi......    aur jab main waha apne usi poorane school ko dekhne gaya to pata chal army walo ne use tod diya tha kafi pehle.....  ek dhakka sa laga aur kuch samajh nahi aaya... meri 2nd school ko jab maine dekha to bahut kuch yaad aa gaya wo maidan jaha hum khela karte the wo jagah jaha hum jungle jalebi tod ke khaya karte the .... kya dn the wo bachpan ke......      us samay aisa lag raha tha jaise sab kuch aankhon ke samne chal raha ho....      in sab baaton ke alawa apno ka pyar jiske liye maine 9 saal intezar kiya.....   jab mila to aankhein bhar aayi.....     aur haan ek baat to batana bhool hi gaya .. mauka tha mere bhaiya ki shaadi ka jinke saath me bachpan me shaitaniya kiya karta tha aur wo mujhe chidhate the.... bade jo the umra me.... hahaha...     aur ab unki shaadi thi..... sabhi ne khoob enjoy kiya.......    aur usi enjoyment me wo din kab gujar gaye pata hi nahi chala.....     meri mausi, didi aur bhaiya ke bachche jo bahut chhote chhote se the ab unme se kuch ki height to mere barabar pahuch gayi matlab sabhi bade ho gaye.....   aur jab unhone mujhe dekha to daud kar mere pass aa gaye... maine kaha ki main yaad hu ki nahi to unme se ek ne kaha ki Chocolate Uncle ko hum kaise bhool sakte h.... hum bade ho gaye h lekin hume ab bhi chocolate chahiye.... sach kahu to aankhon me ek baar fir rona aa gaya..... sirf miss kiya to mama, mamiji aur unke bachcho ko... kyuki kisi karanwash wo wedding me nahi aa paye the.... aur baaki sabhi the waha....... itni badi aur poori family aur wo bhi sabhi ek hi jagah......     i can't explain kitne khubsurat pal the wo.............    

No comments:

Post a Comment